Seven Heavens and Science | 7 Aasman aur Science

Knowledge Society
8 min readMay 29, 2021

--

aaj tak scientist ko aasman jaisi koi cheez space me nazar nahi aayi is terhan ke sawalat puche jaate hai, is post mein me aap ke samnay aasman ya 7 aasman ka kya matlab hai aur quran ne aasman ka kya tasawwur paish kya hai yeh baat rakhunga,

Aap ne youtube par ya koi doosri Websites par aasman ke baray mein parha hoga jana hoga lekin mein ne koshish ki hai ke me is post mein aasman ke vishe me jo saari baate hai us ko ek jagah kar ke bahot sikruyens ke sath aapke samne rakhu, sab se ahem baat ye hai ke post ke aakhir mein quran me aasman ke vishe me chand ayaat hai jo baatein batayi gayi hai woh bhi rakhunga aur modern science ki discovery ki bhi kuch baatein rakhunga taakay aap us ki tulna kar ke khud yeh vichaar kar sakenge ke aaj se 1500 saal pehlay quran ne jo baatai batai thi aaj ke modern science ke sath uski kya compelibity kya anukulta hai, post last tak padhiye kaafi ahem mauzu hai,

Aasman ye urdu ka words hai iske liye arabic me ya quran me ye words aaya hai, (Sa’maa) jiska root words hai (Samo) is ka matlab hota hai elevation ya hight ya upwards uper ki taraf insano ke respect me, lehaza general matlab aaya hai uper ki taraf,

Misaal ke taur par quran me [chapter no. 30:48] me kaha gaya ke, humne aasman se matlab uper se tumhare liye paani nazil kiya, isi tarah dusri misaal ye hai ke, surah ibrahim me ye kaha gaya ke achi aur pakeeza baton ki misaal aisay hai jaisay ke ek darakht hota ha, jis ki jadai bohat mazboot hai, aur uski tahniya aasman me pehli huyi hai, matlab upar ki taraf phaily hui hai,

english translation ko bhi agar aap dekhenge to wahan mufassirin ne sky ke sath sath high ka word likha hai, lehaza quran mein (sa’maa) ka word jab bhi aaya hai singular form me to uska general matlab hota hai (what avarice above and around) jo kuch bhi uper hai aur atraaf hai insano ke respect me wo sab aasman ka hissa hai,

Creation Of The Universe

Allah ta’ala ne (chapter no. 21:30) me ye farmaya ke ye zameen aur iske alawa jo kuch bhi hai ye sab mile huye the ek the, to humne ise juda kiya alag kiya, aur isi terhan ki baat aaj ki big bang theory me bhi batayi jati hai, aasma matlab ke space,

Space ko khali jagah na samjhe, space ko us waqt tak khali jagah samjha jata tha jab tak scientist ko dark energy aur dark matter ke bare me koi baat maloom nahi thi, abhi kuch roz pehlay scientists ko yeh maloom huwa yeh baat daryaft hui hai ke space me 70% person dark anergy hai aur 26% Parson dark matter hai, dark metter use is liye kaha jata hai ke woh insanon ke liye invisible hai use akho se dekha nahi ja sakta hai, aur sirf 4% parson visible matter se ye sari galaxy aur stars bane hai,

Seven [7] Heaven’s:

Quran me (Sa’maa) word use huwa hai aasman ke liye, aur (Samawa’at) word use huwa hai 7 aasman ke liye, generally language ke hisaab se ye dono word singular aur plural hai, lekin in actual ye dono ek hi hai matlab aasman aur 7 aasman space ke hisab se ek hi hai,

Is ko samajh ne ke liye quran ke (chapter 2:29) me Allah ta’ala ne farmaaya,

Usne tumhare liye zameen par sab kuch bana diya, phir wo aasman ki taraf space ki taraf muttawajje huwa, aur usi space ko aasman ko usne 7 aasman bana diya,

Pata yeh chala ke (Sa’maa) aur (Samawa’at) word to singular hai lekin in actual jab singular form me kaha jata hai to us pure space ki baat hoti hai, aur jab (Samawa’at) kaha jata hai to usi space ki baat ki jati hai uske 7 hisso ke pehlu se in actual ye dono ek hi hai,

Where is the first heaven.

Pehla aasman kaha hai ya pehla aasman ki limit kaha tak hai, ye sawal hota hai, isko janne ke liye sabse pehele aap ke samne ye baat rakhu ke Hadees me Nabi sallallahu alaihi wassallam ne, in 7 saato aasman ke aur is zameen ke size ke bare bhi hume bataya hai, Nabi e kareem sallallahu alaihi wassallam ne farmaya, ke ye zameen is pehle aasman ke comparison me aisi hai jaise ek registaan me ek ring anguthi hai, abhi aap soche iska kya comparison kya tulna ho sakti hai in comparison hai,

Aaj scientists ko jis universe ke bare me malumat huyi hai, uske liye hum turm use karte hai observable universe, matlab jaha se light ya radiation hum ko mile hai aur jis universe ke bare me hume malumat huyi hai,

Lekin maze ki baat ye hai ki duniya ke saare scientists ka ye manna hai, ke jo observable universe hai ye actual universe ke hisab se kuch bhi nahi hai.

Aur is vishai me dr. Alan guth hai isne to ek calculation bhi karke bataya ke ye actual universe ka jo size hai, wo humare observable universe se 3×10, 23 time bada hai,

Ab ager in bato ko sahi maan liya jaye to ek chota sa calculations aap ko dikha ta hu,

Observable universe ka distance bataya jata hai: 46.5 billion light-years.

Aur actual universe ka size usse bhi: 3×10 to tha power-23 times ziyada hai,

Lehaza ager hum actual universe ko 7 se divide kare to humare zameen se pehle aasman ki duri ka andaza lag sakta hai,

Aur ye simple mathematical calculation se ye baat nikal kar aati hai ke humari dharti se pehla aasman observable universe se bhi: 4.28×10 to tha power /22 times door hai, Ab pehle aasman tak insaan ko pahunchne me kya aur kitna samay lagega ispar aap vichaar kar sakte hai,

Qura’an me jab ek aasman ki baat ki hai to waha par sabd aaya hai, (Sama’at dunya) matlab aasmani duniya ye farst heaven jis ke andar hamari yeh dharti hai aur is ke hai baarey mein batatay hue ye kaha gaya ke yeh jitne bhi stars yeh sab sirf pehlay aasman ke andar hai,

Quran ke chapter no. 41:12 me kaha gaya hai.

Humne aasman e duniya ko is farst heaven ko stars se roshan kiya hai.

Quran chapter no. 37:6, me Isi tarah se is first heaven ke ander hi sirf planet ke baare me bhi kaha gaya hai,

Humne aasman e duniya ko qawaakib se beutifay kiya hai mazayyam kiya hai,

Youtube pe aap dekhenge to aap ko beutifull planet ke baare me kuch videos milengi lekin yahan par note karne wali baat yeh hai ke quran ne plants ki importance nahi batayi hai sirf yeh kaha ke woh beutifay karne ke liye hai lekin dosray kuch hamare yaha dharm aisay hain jo yeh to batatay hain ke grahon ka prabhaav insani jevan par hota hai,

lekin kisi bhi duniya ki Istablist science ke andar yeh baat aap ko nahi miley gi ke planet ka grahon ka koi prabhaav insani jivan par ho balkay is dharti ke rotation iske revolution par bhi kisi planet ka koi effect nahi hota hai,

Ek objections yeh kya jata hai ke quran ney yeh bataya hai ke kya insaan is baat se be khauf ho gaya hai ke Allah aasman ko zameen par gira day, to log yeh kehte hain ke jab aasman itna badha hai to woh is choti si dharti par bhala kaise gir sakta hai,

To unlogo ke jawab ke liye aap ke samnay yeh baat rakho ke ek concept aaj modern cosmology mein big crunch ke naam se ke jis terhan yeh pura space spend kar raha hai universe ek dosray se daur ja rahay hain ek waqt aisa bhi ho sakta hai ke yeh sab kuch collabs karke phir ek singularity convert ho jayenge, usko ager aap aasman ko zameen me collabs hone ke pehlu se sochenge to aap ko wo aayat bilkul sahi maloom hogi,

Qura’an cosmology.

Ab aaiye qura’an ki kuch ayesi aayat ki taraf jisme aasman ke baare me kuch baate batai gayi hai, jo aaj ke modern cosmology ke saath mel khati hai,

Sabse pehle maine aap ke samne surah ambiya ki jo aayat rakhi hai, [Quran chapter no. 21:30]

Yeh saato 7 aasman aur zameen ek the to humne inhe juda kiya.

Aaj modern science ye kehti hai ke ye zameen ye earth aur iske alawa pura space ye pura universe ek tha, aur usi se ye phir big bang huwa aur ye saari chizein alag karke create ki gayi hai, lehaza big bang ishara quran ki is aayat me pure taur par nazar aata hai,

Dusri aayat allah ta’ala ne surah zaria’at chapter no. 51:47 me farmaya,

Humne is aasman ko pure space ko apni quwwat o taqat se banaya hai, aur hum hi isko phaila rahe hai,

Aaj ye baat ek stablist science hai ke ye universe ye pura space phail raha hai aur habbal teliscope se usay dekh liya gaya ke ye universe expand kar raha hai,

Isi terhan quran surah yaseen chapter no. 36:38 me farmaya,

Yeh suraj chalta hai apne muqarrar kiye huye raste par,

aaj modern science mein ek tarm hai solar apex matlab ye San ek define path ko follow karta hai, isi tarah se quran ne ye bhi kaha sirf suraj hi nahi balke pure soler system ko follow karta hai quran ye mazeed ne yahi baat do maka maat par kahi hai,

[Chapter no. 21:33–36:40]

Jo kuch bhi space me hai ye sab apne defind orbit me chal rahe hai.

Isi tarah se quran ne ye kaha ke space me ye jitne bhi salestrial body hai isme stars ki bahot ahmiyat hai,

Niche ki taraf woh saari aayat hai jo aaj se 1500 saal pehle quran ne bataya tha, aasman ya space ke mauzu par jo aaj ki modern science ke saath pure taur per competable hai,

  • Quran chapter no. 21:30:- big bang.
  • Quran chapter no. 51:47:- expanding universe.
  • Quran chapter no. 36:38:- solar apex.
  • Quran chapter no. 36:40:- orbits of heavenly bodies.
  • Quran chapter no. 56:75:- dead stars/black holes.
  • Click here next post:- https://www.islamisgoodlife.com/2021/04/islam-and-science-islam-aur-science-ka.html?m=1

Originally published at https://www.islamisgoodlife.com.

--

--

No responses yet